پیغمبرِ اسلام حضرت محمد مصطفیٰ صلی اللہ علیہ و آلہ وسلم کی مدحت، تعریف و توصیف، شمائل و خصائص کے نظمی اندازِ بیاں کو نعت یا نعت خوانی یا نعت گوئی کہا جاتا ہے۔عربی زبان میں نعت کیلئے لفظ "مدحِ رسول" استعمال ہوتا ہے۔ اسلام کی ابتدائی تاریخ میں بہت سے صحابہ اکرام نے نعتیں لکھیں اور یہ سلسلہ آج تک جاری و ساری ہے۔ نعتیں لکھنے والے کو نعت گو شاعر جبکہ نعت پڑھنے والے کو نعت خواں یا ثئاء خواں بھی کہا جاتا ہے۔

Friday, 10 August 2018

Har Des Main Gunjega Ab Ya Rasool Allah

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على سيد الأنبياء والمرسلين أما بعد فاعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن الرحيم


Hum Sar Pe Kafan Bandhe Maidan Main Nikle Hain
Batil Ke Mehlon Ko Hum Dahne Nikle Hain

Himmat Hai Hame Toko Dam Hai To Hame Roko
Hum Naara-E-Risalat Ko Pehlane Nikle Hain

Har Des Main Gunjega Ab Ya Rasool Allah
Har Shaks Pukarega Ab Ya Rasool Allah

Hum Sari Duniya Main Halchal Si Machadenge
Sarkar Ke Aashiq Hai Rang Apna Jama denge

Milad-E-Nabi Karna Ye Khoon Main Shamil Hai
Is Mission Ki Khatir Hum Din Raat Laga denge

Sarkar Ki Naaton Se Pur Josh Hai Dewane
Milad Ki Mehfil Main Mahool Bana denge

Kyun kar na Manayen Hum Ye Sunni Saqafath hai
Milad Manane Par Sarkar Jaza denge

Sauda Na Kareinge Hum Imaan Na Bechenge
Naamus-E-Risalat Par Duniya Ko Hila denge

Har Nasl Ka Naara Hai Har Qaum Ka Naara Hai
Is Naare Se Logon Ko Aapas Main Mila denge

Islam Jo Mazahab Hai Pegham-E-Mohabbat Hai
Is Aaman Ke Parcham Ko Har Ghar Main Jaga denge

Sarkar Ki Izzat Par Marna Hai Hame Logon
Ye Wada Hamara Hai Sab Kuch Hi Luta denge

Ham Ne Yehi Thani Hai Mannat Yehi Mani Hai
Is Des Ki Mitti Par Khoo(n) Apna Baha denge

Hai Aal-E-Nabi Piyare Ashaab Sitaren Hain
Dono Ki Mohabbat Ko Hum Dil Main Basa denge

Aayen Hain Ujagar Sang Amjad-O-Tahir Bhi
Pegham-E-Nabi Denge Ahkam-E-Khuda denge