پیغمبرِ اسلام حضرت محمد مصطفیٰ صلی اللہ علیہ و آلہ وسلم کی مدحت، تعریف و توصیف، شمائل و خصائص کے نظمی اندازِ بیاں کو نعت یا نعت خوانی یا نعت گوئی کہا جاتا ہے۔عربی زبان میں نعت کیلئے لفظ "مدحِ رسول" استعمال ہوتا ہے۔ اسلام کی ابتدائی تاریخ میں بہت سے صحابہ اکرام نے نعتیں لکھیں اور یہ سلسلہ آج تک جاری و ساری ہے۔ نعتیں لکھنے والے کو نعت گو شاعر جبکہ نعت پڑھنے والے کو نعت خواں یا ثئاء خواں بھی کہا جاتا ہے۔

Wednesday 7 August 2013

Zahe muqaddar huzoor e haq say salaam aaya payam aya

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على سيد الأنبياء والمرسلين أما بعد فاعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن 
الرحيم

Zahe muqaddar huzoor e haq say salaam aaya payam aya...
Jhukao nazrein bichao palkain adab ka aala maqam aaya !!!





Yeh kon sar say kafan lapate chala hai ulfat kay raste par ...
Farishte hairat se tak rhe hain yeh kon zee ehteram aaya !!!





Faza main labbaik ki sadain za farsh ta arsh goonjti hain ...
Har ek qurban ho rha hai zaban pe ye kis ka naam aaya !!!





Ye rah e haq hai sambhal ke chalna yahan hai manzil qadam qadam par ...
Pohachna dar par to kehna aaqa salaam lijiye ghulam aaya !!!





Ye kehna aaqa bohat say aashiq tarape chor aaya houn main ...
Bulawe ke muntazir hain lekin na subho aaya na shaam aaya !!!



Dua jo nikli thi dil se aakhir palat kay maqbool ho kay aayi ...
Woh jazba jis main tarap thi sachi woh jazba aakhir ko kaam aaya !!!




1 comment:

  1. Masha Allah Subhanallah,Allah aapko aur hum sabko gumbde khajra ki jiyarat nasib farmaye,aamin

    ReplyDelete