پیغمبرِ اسلام حضرت محمد مصطفیٰ صلی اللہ علیہ و آلہ وسلم کی مدحت، تعریف و توصیف، شمائل و خصائص کے نظمی اندازِ بیاں کو نعت یا نعت خوانی یا نعت گوئی کہا جاتا ہے۔عربی زبان میں نعت کیلئے لفظ "مدحِ رسول" استعمال ہوتا ہے۔ اسلام کی ابتدائی تاریخ میں بہت سے صحابہ اکرام نے نعتیں لکھیں اور یہ سلسلہ آج تک جاری و ساری ہے۔ نعتیں لکھنے والے کو نعت گو شاعر جبکہ نعت پڑھنے والے کو نعت خواں یا ثئاء خواں بھی کہا جاتا ہے۔

Friday, 2 August 2013

Bekhud kiye dete hain

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على سيد الأنبياء والمرسلين أما بعد فاعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن الرحيم

Bekhud kiye dete hain andaaz hijaabana...
Aa dil mein tujhe rakh lun ay jalwa e janana!!!

Itna to karam karna ay chashme karimana...
Jab jaan laboon par ho tum saamne aa jaana!!!

Ji chahta hai tohfe mein bhejun unhein ankhein...
Darshan  ka to darshan ho nazrane ka nazrana!!!

Mein hosh o hawaas apne is baat pe kho betha...
Hans kar jo kaha tumne aaya mera deewaana!!!

Dunya mein hamein tumne jab apna banaya hai...
Mehshar mein bhi keh dena ye hai mera deewaana!!!

Kyun aankh milayi thi kyun aag lagai thi...
Ab rukh ko chupa bethe karke mujhe deewaana!!!

Peene ko pee lunga bas arz zara si hai...
Ajmer ka saaqi ho bagdaad ka mekhaana!!!

Bedum meri qismat mein sajde hain usi dar ke...
Chuta hai na chute ga sang e dare janana!!!



Naat by: Bedam Shah Warsi
Note: All mistakes pointed out as of 16th of August 2019 are addressed. JazakAllah for pointing out.


46 comments:

  1. Lyrics shud be re checked there are mistakes.

    Jazakh Allah

    ReplyDelete
  2. Replies
    1. salaam

      nishandehi k lye Jazakallah. galtiyan thik kr di gyi hn. mulahiza farmayen.

      aur kahin zaroorat ho to zaroor rehnumai farmayen.

      Delete
    2. Duniya me "mujhe tum ne jab" apna banaya hai
      Mehshar me bhi kehdena ye hai mera diwana

      Delete
    3. Dunya men hame tumne jab apna banaya he
      Mahshar me bhi kehdena ye he Mera divana

      Delete
    4. Dunya men hame tumne jab apna banaya he
      Mahshar me bhi kehdena ye he Mera divana

      Delete
  3. Koi bata sakta hai ye kisna ne likhi hai

    ReplyDelete
  4. सुभान आल्लाह

    ReplyDelete
  5. Plz aaqa hamre zinda hain lyric me post krn

    ReplyDelete
  6. Mashallah bhai bada hi umdah tarike se faijeyaab Kiya hai sabko iss kalam se

    ReplyDelete
  7. Ab is Sajday ka matlab ye ni k Maaz Allah Nabi Pak ko Sajda ha...Ye arfaana Kalaaam ha jo Bedam Shah Warsi ne Likha ha

    ReplyDelete
  8. Mashallah bahot pyari naat hai

    ReplyDelete
  9. Kya andaz hai hazrat bedam warsi ka/mashaallah

    ReplyDelete
  10. Masha allaha bahut hi pyari naat hai ye naat kis ne likhi please unka naam batao

    ReplyDelete
  11. ماشاءالله سبحان الله

    ReplyDelete
  12. Masha Allah..har woh lafz choooh gaya dil ko aur num ho gayi ankhien.

    ReplyDelete
  13. Shart ki jaghah arj karde to aur behtar ho ga insha allah

    ReplyDelete