پیغمبرِ اسلام حضرت محمد مصطفیٰ صلی اللہ علیہ و آلہ وسلم کی مدحت، تعریف و توصیف، شمائل و خصائص کے نظمی اندازِ بیاں کو نعت یا نعت خوانی یا نعت گوئی کہا جاتا ہے۔عربی زبان میں نعت کیلئے لفظ "مدحِ رسول" استعمال ہوتا ہے۔ اسلام کی ابتدائی تاریخ میں بہت سے صحابہ اکرام نے نعتیں لکھیں اور یہ سلسلہ آج تک جاری و ساری ہے۔ نعتیں لکھنے والے کو نعت گو شاعر جبکہ نعت پڑھنے والے کو نعت خواں یا ثئاء خواں بھی کہا جاتا ہے۔

Sunday, 1 December 2013

Har khta tu dar guzar kar

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على سيد الأنبياء والمرسلين أما بعد فاعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن الرحيم

Har khta tu dar guzar kar be kaso majboor ki...
Ya ilahi! magfirat kar be kaso majboor ki!!!

Ya ilahi! karde puri az paye gous o raza...
Aarzo e deed e sarwar be kaso majboor ki!!!

Zindagi aur mot ki hai ya ilahi! kashmakash...
Jaa(n) chle teri riza par be kaso majboor ki!!!

A'aala 'illiyeen mein ya rabb! ise dena jagah...
Ruh chal de jab nikal kar be kaso majboor ki!!!

Ya khuda! puri tamanna ho baqi e paak ki...
Azpaye hasanein o hedar be kaso majboor ki!!!

Wasita noor e muhammad ka tujhe pyare khuda...
Gor e teera kar munawwar be kaso majboor ki!!!

Aap ke meethe madeene main pye gous o raza...
Haazri ho ya nabi har be kaso majboor ki!!!

Aamina k laal!sadqa fatima k laal ka...
Dur sham e ranj o gam kar be kaso majboor ki!!!

Nafs o shaitaan galib aaye lo khabar ab jald tar...
Ya rasoolallah! aakar be kaso majboor ki!!!

Kehte rehte hain dua k waste bande tere...
Kar de puri aarzoo har be kaso majboor ki!!!

Behr e shahe karbala ho dur har aafaat o bla...
Ay habib e rabb e dawar be kaso majboor ki!!!

Aap khud tashreef laye apne bekas ki taraf...
"Aah" jab nikli tadap kar be kaso majboor ki!!!

Ay madine k musafir! tu kahani dard ki...
Un se kehna khoob jakar be kaso majboor ki!!!

Hook uthi, ruh tadapi, jab madina chut gya...
Jaan thi gamgeen o muztar be kaso majboor ki!!!

Aap ke qadmoon mein gir kar mot ki ya mustafa...
Aarzo kab aayegi bar be kaso majboor ki!!!

Nama e ATTAR mein husn e amalkoi nhi...
Laaj rakhna roz e mehshar be kaso majboor ki!!!

Tu hi malik e behar o bar hai

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على سيد الأنبياء والمرسلين أما بعد فاعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن الرحيم

AY MERE ALLAH... AY MERE ALLAH!!!
MADAD KAR...
AY MERE ALLAH... AY MERE ALLAH!!!

Tu hi malik e behar o bar hai ya allahu ya allah...
Tu hi malik e jinn o bashar hai ya allahu ya allah!!!

Tu abadi hai tu azalii hai tera naam 'aleemo ali hai...
Zaat teri sab se bartar hai ya allahu ya allah!!!

Wasf baya(n) karte hain sare sang o shajar o chand sitare...
Tasbeeh e har khushk o tar hai ya allahu ya allah!!!

Khalqat jab paani ko tarse rim jhim rim jhim barkha barse...
Har ek par rehmat ki nazar hai ya allahu ya allah!!!

Raat ne jab sar apna jhukaya chidyoon ne ye zikr sunaya...
Nagma baar naseem e sehar hai ya allahu ya allah!!!

Bakhsh de tu ATTAR ko mola wasita tujhko us pyare ka...
Jo sab nabiyoon ka sarwar hai ya allahu ya allah!!!


AY MERE ALLAH... AY MERE ALLAH!!!
MADAD KAR...
AY MERE ALLAH... AY MERE ALLAH!!!

Khatimul Ambiya aap khairul anam

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على سيد الأنبياء والمرسلين أما بعد فاعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن الرحيم

ASSALAM ASSALAM ASSALAM ASSALAM...
KHATIMUL AMBIYA AAP KHAIRUL ANAM!!!

Jugnoo! Noor k qumqumon se likho...
Roshni k haseen dayroon se likho...
Titliyoon! Tum bhi apne paroon se likho...
Qudrati khubsoorat rangoon se likho...
Hai guloon ki khushi pattiyoon se likho...
Ambar o mushk se khushbuoon se likho...
Sabz gumbad pe likho mera ye pyaam!!!

ASSALAM ASSALAM ASSALAM ASSALAM...
KHATIMUL AMBIYA AAP KHAIRUL ANAM!!!

Noor ka hai khazeena madeena huzoor...
Sang bhi lag rha hai nageena huzoor...
Noor se aap bhar deinge seena huzoor...
Aap noor ul huda aap aala maqaam!!!

ASSALAM ASSALAM ASSALAM ASSALAM...
KHATIMUL AMBIYA AAP KHAIRUL ANAM!!!


Jan kya maalkya rishte naate sabhi...
Aapki khak e paa pe nichawar abhi...
Aapko ba khuda main na bhula kabhi...
Bhejta hi rha main salaat o salaam!!!

ASSALAM ASSALAM ASSALAM ASSALAM...
KHATIMUL AMBIYA AAP KHAIRUL ANAM!!!

Haazri aapke roze ki phir mile...
Zindagi phir mile bandagi phir mile...
Kash mujhko yehi roshni phir mile...
Ab ke ho jaye aaqa zyada qiyaam!!!

ASSALAM ASSALAM ASSALAM ASSALAM...
KHATIMUL AMBIYA AAP KHAIRUL ANAM!!!

Aapke paas hi ab KAREEMI rahe...
Sammne hai baqi is mein ye bhi rhe...
Us dar e paak ki haziri bhi rhe...
Hashr mein bhi sunaun mein naat o salaam!!!

ASSALAM ASSALAM ASSALAM ASSALAM...
KHATIMUL AMBIYA AAP KHAIRUL ANAM!!!

Ye dil quraban aap par

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على سيد الأنبياء والمرسلين أما بعد فاعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن الرحيم

YA RASOOLALLAH... YA HABEEBALLAH... (2)

SALAMUN ALAIK   SALAMUN ALAIK... (2)

Ye dil quraban aap par ye jaan bhi qurban hai... (2)
Jo hai qurban aap par (2) wo sahib e iman hai...

YA MUSTAFA...YA MUJTABA... KHAIRUL WARAA... NOORUL HUDA!!!

Haan aap jaisa jahan mein hai koi kahan...

YA SAYYIDI YA HABIBI SALAMUN ALAIK... (2)

Sab se ola o aala hamara nabi...
Sab se bala o wala hamara nabi... 
Apne mola ka pyara hamara nabi...
Dono alam ka dulha hamara nabi!!!

Ye dil quraban aap par ye jaan bhi qurban hai... (2)
Jo hai qurban aap par (2) wo sahib e iman hai...

YA MUSTAFA...YA MUJTABA... KHAIRUL WARAA... NOORUL HUDA!!!

Haan aap jaisa jahan mein hai koi kahan...

YA SAYYIDI YA HABIBI SALAMUN ALAIK... (2)

Bhuj gyi jiske aage sabhi mashalein...
Sham'aa wo lekar aaya hamara nabi...
Jiske talwo ka dhowan hai aab e hayaat...
Hai wo jaan e masiha hamara nabi!!!

Ye dil quraban aap par ye jaan bhi qurban hai... (2)
Jo hai qurban aap par (2) wo sahib e iman hai...

YA MUSTAFA...YA MUJTABA... KHAIRUL WARAA... NOORUL HUDA!!!

Haan aap jaisa jahan mein hai koi kahan...

YA SAYYIDI YA HABIBI SALAMUN ALAIK... (2)

Mulk e konain mein ambiya tajdaar...
Tajdaroon ka aaqa hamar nabi...
Khalq se auliya auliya se rusul...
Aur rasoolaoon se aala hamara nabi!!!

Ye dil quraban aap par ye jaan bhi qurban hai... (2)
Jo hai qurban aap par (2) wo sahib e iman hai...

YA MUSTAFA...YA MUJTABA... KHAIRUL WARAA... NOORUL HUDA!!!

Haan aap jaisa jahan mein hai koi kahan...

YA SAYYIDI YA HABIBI SALAMUN ALAIK... (2)

Jisne murda diloon ko di umr abad...
Hai wo jan e maseeha hamara nabi...
Gamzado ko RAZA muzda dije k hai...
Bekasoon ka sahara hamara nabi...

Ye dil quraban aap par ye jaan bhi qurban hai... (2)
jo hai qurban aap par (2) wo sahib e iman hai...

YA MUSTAFA...YA MUJTABA... KHAIRUL WARAA... NOORUL HUDA!!!

Haan aap jaisa jahan mein hai koi kahan...

YA SAYYIDI YA HABIBI SALAMUN ALAIK... (2)

SALAMUN ALAIK...SALAMUN ALAIK... (2)

Ye dil quraban aap par ye jaan bhi qurban hai... (2)
Jo hai qurban aap par (2) wo sahib e iman hai...

YA MUSTAFA...YA MUJTABA... KHAIRUL WARAA... NOORUL HUDA!!!

Haan aap jaisa jahan mein hai koi kahan...

YA SAYYIDI YA HABIBI SALAMUN ALAIK... (2)

Dukhiyoon pe karam apna ya salle ala karna

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على سيد الأنبياء والمرسلين أما بعد فاعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن الرحيم

Dukhiyoon pe karam apna ya salle .ala karna...
Khairaat hamein apne jalwoon ki ata karna!!!


Kab tak mere aaqa yun ye zeest basar hogi...
Batlao shab e gum ki kis aan sahar hogi...
Ab reham o karam apna mehboob e khuda karna!!!


Hum to hain raheen e gum ayr hijr k mare hain...
Jo kuch bhi hai lekin hum deewane tumhare hain...
Maqbool diwano ki sarkar dua karna!!!


Har chand ki chokhat se ye dur deewana hai...
Lekin ya nabi har pal nazroon mein madeena hai...
Beemar e madeena hun sarkaar dwa karna!!!


Muddat se parehsa(n) hun jeeta hun na marta hun...
Yado mein tumhari haan sarakr tadapta hun...
ISHRAT se hui sarzad sab maaf khta karna!!!

Ye meri zindagi tere hawale

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على سيد الأنبياء والمرسلين أما بعد فاعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن الرحيم

Ye meri zindagi tere hawale...
Salaam ay jaan e jaa(n) ay kamali wale!!!

Nabi sare k sare hain muazzam...
Tere andaaz sabse niraale!!!

Madeene ki bahar rangeen fazaein...
Zahe qismat mujhe taiba bulale!!!

Abu bakr o umar usman o haidar...
MUHAMMAD MUSTAFA pe mitne wale!!!

Bhawar mein hai teri ummat ki kishti...
Mere aaqa ye sahil par lgale!!!

Ye faani ban gye marhoon eisyaan...
Inhein daman e rehmat mein chupa le!!!

Khirad tashqeeq ki wadi mein gum hai...
Mujhe tu apna diwana bna le!!!

Tumhare dar pe jo main baaryaab ho jaun

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على سيد الأنبياء والمرسلين أما بعد فاعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن الرحيم

Tumhare dar pe jo main baaryaab ho jaun...
Qasam khuda ki shaha kaamyaab ho jaun!!!

Jo paun boosa e paaye huzor kya kehna...
Main zarra shams o qamar ka jawaab ho jaun!!!

Meri haqeeqat e fani bhi kuch haqeeqat hai...
Marun jo aaj khayaal o khawaab ho jaun!!!

Jahan k qos e quzah se fareeb khayein kyun...
Main apne qalb o nazar ka hijaab ho jaun!!!

Jahan ki bigdi usi aastaan se banti hai...
Main kyun na waqf e dar eaan janaab ho jaun!!!

Tumhara naam liya hai talatum e gam mein...
Main ab to paar risalat ma aab ho jaun!!!

Ye meri duri badal jaye qurb mein AKHTAR...
Agar wo chahein to main baaryaab  ho jaun!!!

Friday, 1 November 2013

Har waqt tasawwur mein madine ki gali hai

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على سيد الأنبياء والمرسلين أما بعد فاعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن الرحيم

Har waqt tasawwur mein madine ki gali hai...
Ab dar ba dari hai na gareebul watani hai!!!

Wo sham e haram jisse munawwar hai madeena...
Kaabe ki qasam roonaq e kaba bhi wohi hai!!!

Is shahr mein bik jaate hain khud aa ke khareedar...
Ye misr ka bazaar nahi shehar e nabi hai!!!

Is arze muqaddas pe zra dekh ke chalna...
Ay qafile walo! ye madeene ki gali hai!!!

Nazroon ko jhukaye hue khamoosh guzar jaao...
Be taab nigahi bhi yahan be adabi hai!!!

Haq is ka ada sirf jabeenoon se na hoga...
Ay sajda guzaro ye dar e mustafavi hai!!!

Iqbal main kis munh se karun madhe muhammad...
Munh mera bahot chota aur baat bdi hai!!!

Tuesday, 3 September 2013

Tauba qabool ho

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على سيد الأنبياء والمرسلين أما بعد فاعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن الرحيم


Ya Rab mein gunahgar hoon tauba qabool ho...
Isyaan pay sharm sar houn, tauba qabool ho!!!

Jaan sozo dil pigar houn, tauba qabool ho...
Sartapa inqisar hoon, tauba qabool ho!!!

Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho...
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho…


Guzri tumam umar meri lahulad mein...
Naiki nahin hai koi amal ki kitab main...
Salah amal bhi koi nahin hai hisaab main...
Dast e dua buland hai teri janab mein!!!

Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho...
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho!!!



Aisho nishat hi mein guzari hai zindagi...
Har zawiye say apni sanwari hai zingadi...
Mera khayal yeh tha kay jari hai zindagi...
Lekin yeh haal ab hai kay bhari hai zindagi!!!

Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho...
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho!!!


Tere karam ko teri ata ko bhula diya...
Aamaal ki jaza o saza ko bhula diya...
Taqat mili to karb o bala ko bhula diya...
Har natawan ki aahe rasa ko bhula diya!!!

Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho...
Tauba qabool ho , meri tauba qabool ho!!!


Main to samajh rahi thi k dolat hai jiske paas...
Usko na koi khauf hai usko na kuch haraas...
Hoga nhi kahin bhi kisi waqt wo udaas...
Lekin ye meri bhool thi ab main hun mehve yaas!!!

Tauba qabool ho,  meri tauba qabool ho...
Tauba qabool ho,  meri tauba qabool ho!!!

Mein houn gunahgar magar Tu to hai kareem...
Main hoon siyah kar magar Tu to hai raheem...
Mein houn fana pazeer magar Tu to hai qadeem...
Main adna o haqeer sahih Tu to hai azeem!!!

Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho...
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho!!!


Ya Rub Teray karam Teri rehmat ka wasta...
Ya rab Teri aata Teri naimat ka wasta...
Ya Rub teray jalal o jalalat ka wasta...
Ya Rab Rasool e Haq ki risalat ka wasta!!!

Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho...
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho!!!

Hoon Imamul Ambiya pe dum ba dum lakhon salaam

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على سيد الأنبياء والمرسلين أما بعد فاعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن الرحيم


Hoon Imamul Ambiya pe dum ba dum lakhon salaam...
Hoon Muhammad mustafa pe dum ba dum lakhon salaam!!!

Chand ke tukde kiye they jis nabi ne marhaba...
Us habib e kibriya pe dum ba dum lakhoon salaam!!!

Jinn bhi padte hain tera kalima madeene k makeen...
Tujh rasool e ba safa pe dum ba dum lakhoon salaam!!!

Jisne suraj ko ubhara dubne ke baad bhi...
Us muhammad mustafa pe dum ba dum lakhoon salaam!!!

Jisne jo chaha use wo kar diya tum ne ata...
Rehmat e rabbul ula pe dam ba dam lakhoon salaam!!!

Ummati hi ummati jisne pukara har jagah...
Aise pyare jaan fiza pe dum ba dum lakhoon salaam!!!

Jisne murdoon ko kiya zinda khuda ke hukm se...
Us gulaam e mustafa pe dum ba dum lakhoon salaam!!!