پیغمبرِ اسلام حضرت محمد مصطفیٰ صلی اللہ علیہ و آلہ وسلم کی مدحت، تعریف و توصیف، شمائل و خصائص کے نظمی اندازِ بیاں کو نعت یا نعت خوانی یا نعت گوئی کہا جاتا ہے۔عربی زبان میں نعت کیلئے لفظ "مدحِ رسول" استعمال ہوتا ہے۔ اسلام کی ابتدائی تاریخ میں بہت سے صحابہ اکرام نے نعتیں لکھیں اور یہ سلسلہ آج تک جاری و ساری ہے۔ نعتیں لکھنے والے کو نعت گو شاعر جبکہ نعت پڑھنے والے کو نعت خواں یا ثئاء خواں بھی کہا جاتا ہے۔

Friday, 1 November 2013

Har waqt tasawwur mein madine ki gali hai

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على سيد الأنبياء والمرسلين أما بعد فاعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن الرحيم

Har waqt tasawwur mein madine ki gali hai...
Ab dar ba dari hai na gareebul watani hai!!!

Wo sham e haram jisse munawwar hai madeena...
Kaabe ki qasam roonaq e kaba bhi wohi hai!!!

Is shahr mein bik jaate hain khud aa ke khareedar...
Ye misr ka bazaar nahi shehar e nabi hai!!!

Is arze muqaddas pe zra dekh ke chalna...
Ay qafile walo! ye madeene ki gali hai!!!

Nazroon ko jhukaye hue khamoosh guzar jaao...
Be taab nigahi bhi yahan be adabi hai!!!

Haq is ka ada sirf jabeenoon se na hoga...
Ay sajda guzaro ye dar e mustafavi hai!!!

Iqbal main kis munh se karun madhe muhammad...
Munh mera bahot chota aur baat bdi hai!!!