پیغمبرِ اسلام حضرت محمد مصطفیٰ صلی اللہ علیہ و آلہ وسلم کی مدحت، تعریف و توصیف، شمائل و خصائص کے نظمی اندازِ بیاں کو نعت یا نعت خوانی یا نعت گوئی کہا جاتا ہے۔عربی زبان میں نعت کیلئے لفظ "مدحِ رسول" استعمال ہوتا ہے۔ اسلام کی ابتدائی تاریخ میں بہت سے صحابہ اکرام نے نعتیں لکھیں اور یہ سلسلہ آج تک جاری و ساری ہے۔ نعتیں لکھنے والے کو نعت گو شاعر جبکہ نعت پڑھنے والے کو نعت خواں یا ثئاء خواں بھی کہا جاتا ہے۔

Wednesday 7 August 2013

Jab main kahun muhammad -- Salle ala kaho tum...

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على سيد الأنبياء والمرسلين أما بعد فاعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن الرحيم

Jab main kahun muhammad salle ala kaho tum...
Khairul bashar kahun main khairul wara kaho tum!!!

Aashoob e zindagi mein taskeen e dil ki khatir...

Aashoob e zindagi mein taskeen e dil ki khatir...
Rue nabi kahun main shaan e khufda kaho tum...
Khairul bashar kahun main khairul wara kaho tum!!!

Wo rashq e imbiya hain wo fakhr e auliya hain...
Wo ruh e kun fakan hain wo jaan e do jahan hain...
Jalwa figan kahun main jalwa numa kaho tum!!!
Khairul bashar kahun main khairul wara kaho tum!!!

Is husn k hain jalwe din raat k ujaale...
Is husn k hain jalwe din raat k ujaale...
Shamsud duha kahun main badrud duja kaho tum!!!
Khairul bashar kahun main khairul wara kaho tum!!!

Jab main kahun muhammad salle ala kaho tum...
Khairul bashar kahun main khairul wara kaho tum!!!

Zahe muqaddar huzoor e haq say salaam aaya payam aya

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على سيد الأنبياء والمرسلين أما بعد فاعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن 
الرحيم

Zahe muqaddar huzoor e haq say salaam aaya payam aya...
Jhukao nazrein bichao palkain adab ka aala maqam aaya !!!





Yeh kon sar say kafan lapate chala hai ulfat kay raste par ...
Farishte hairat se tak rhe hain yeh kon zee ehteram aaya !!!





Faza main labbaik ki sadain za farsh ta arsh goonjti hain ...
Har ek qurban ho rha hai zaban pe ye kis ka naam aaya !!!





Ye rah e haq hai sambhal ke chalna yahan hai manzil qadam qadam par ...
Pohachna dar par to kehna aaqa salaam lijiye ghulam aaya !!!





Ye kehna aaqa bohat say aashiq tarape chor aaya houn main ...
Bulawe ke muntazir hain lekin na subho aaya na shaam aaya !!!



Dua jo nikli thi dil se aakhir palat kay maqbool ho kay aayi ...
Woh jazba jis main tarap thi sachi woh jazba aakhir ko kaam aaya !!!




Friday 2 August 2013

Bekhud kiye dete hain

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على سيد الأنبياء والمرسلين أما بعد فاعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن الرحيم

Bekhud kiye dete hain andaaz hijaabana...
Aa dil mein tujhe rakh lun ay jalwa e janana!!!

Itna to karam karna ay chashme karimana...
Jab jaan laboon par ho tum saamne aa jaana!!!

Ji chahta hai tohfe mein bhejun unhein ankhein...
Darshan  ka to darshan ho nazrane ka nazrana!!!

Mein hosh o hawaas apne is baat pe kho betha...
Hans kar jo kaha tumne aaya mera deewaana!!!

Dunya mein hamein tumne jab apna banaya hai...
Mehshar mein bhi keh dena ye hai mera deewaana!!!

Kyun aankh milayi thi kyun aag lagai thi...
Ab rukh ko chupa bethe karke mujhe deewaana!!!

Peene ko pee lunga bas arz zara si hai...
Ajmer ka saaqi ho bagdaad ka mekhaana!!!

Bedum meri qismat mein sajde hain usi dar ke...
Chuta hai na chute ga sang e dare janana!!!



Naat by: Bedam Shah Warsi
Note: All mistakes pointed out as of 16th of August 2019 are addressed. JazakAllah for pointing out.


Lab par naat e paak ka nagma

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على سيد الأنبياء والمرسلين أما بعد فاعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن الرحيم


Lab par naat e paak ka nagma kal bhi tha aur aaj bhi hai...
Mere nabi se mera rishta kal bhi tha aur aaj bhi hai!!!

Aur kisi janib kyun jayein aur kisi ko kyun dekhein...
Apna sab kuch gumbad e khazra kal bhi tha aur aaj bhi hai!!!

Past wo kaise ho sakta hai jisko haq ne buland kiya...
Dono jahan mein unka charcha kal bhi tha aur aaj bhi hai!!!

Jis ke faiz se banjar seeno ne shadabii pai hai...
Moj mein wo rehmat ka darya kal bhi tha aur aaj bhi hai!!!

Batla do har dushman e deen ko ghairat e muslim zinda hai...
Deen pe mar mitne ka jazba kal bhi tha aur aaj bhi hai!!!

Batla do gustakh e nabi ko gairat e sunni zinda hai..
Unn pe mar mitne ka jazba kal bhi tha aur aaj bhi hai!!!

Sab ho aaye unke dar pe ja na saka to ek sabih...
Ye ke ik tasveer e tamanna kal bhi tha aur aaj bhi hai!!!

Jin aankhoon se taiba dekha wo ankheinn betaab hain ab..
In aankhoon mein ek taqaza kal bhi tha aur aaj bhi hai!!!

Hum madine se allah kyun aa gye

الحمد لله رب العالمين والصلاةالسلام على سيد الأنبياء والمرسلين أما بعد فاعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن الرحيم


Hum madine se allah kyun aa gye...
Qalb e hairaan ki tasqeen wahin reh gyi!!!
Dil wahin reh gya jaan wahin reh gyi...
Kham usi dar pe apni jabeen reh gyi!!!


Yaad aate hain humko wo shaam o sehar...
Wo sukoon e dilo jaano rooho nazar!!!
Ye unhi ka karam hai unhi ki ata...
Ek kaifiyate dil nashin reh gyo!!!


Allah allah wahan ka durood o salaam...
Allah allah wahan ka sujood o qiyaam!!!
Allah allah wahan ka wo kaif  e dawaam...
Wo salaat e sukoon aafreen reh gyi!!!


Jis jagah sajda rezi ki lazzat mili...
Jis jagah har qadam unki rehmat mili!!!
Jis jagah noor rehta hai shaam o sehar...
Wo falak reh gya wo zameen reh gyi!!!


Padke nasrumminallahi fathun qareeb...
Hum rawan jab hue sue kue habib!!!
Barkatein rehmatein saath chalne lagin...
Be basi zindagi ki wahin reh gyi!!!


Zindagaani wahin kaash hoti basar...
Kaash behzaad aate na hum lot kar!!!
Aur puri hui har tamanna magar...
Ye tamanna e qalb e hazeen reh gyi!!!





Kya shaan teri ya allah

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على سيد الأنبياء والمرسلين أما بعد فاعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن الرحيم


La ilaha illallah... La ilaha illallah!!!

Kya shaan teri ya allah... Kya shaan teri ya allah!!!

Zarra zarra tera shahid allah allah qudrat teri...
Qatra qatra kulzum tera darya darya san-at teri!!!

Guncha guncha patta patta midhat teri rangat teri...
Buta buta husne mujassam dali dali qudrat teri!!!

Banda banda tera banda dozakh teri jannat teri...
Sehra sehra isyaan mere darya darya rehmat teri!!!

Tere bande achche bure sab bakhsha sab kuch apni khushi se...
Chahe bakhshe chahe saza ee teri marzi khalqat teri!!!

Khak hawa aur mitti pani tera alam teri hukumat...
Gosha gosha tera khazan chappa chappa dolat teri!!!

Tere gulshan teri baharein phool tere hain kaante tere...
Tu hi tu hai tujhse gani bhi naqsh e gani hai hikmat teri!!!

Karam khudaya

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على سيد الأنبياء والمرسلين أما بعد فاعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن الرحيم


Allah allah allah allah ...
Allah allah allah!!!

Karam khudaya khudaya ...
Karam khuday khudaya !!!

Alllah allah...

Allah allah allah allah...
Allah allah allah!!!

Huzuri ka muzda suna de khudaya...
Gulistaan e makka dikhade khudaya!!!

Meri arz e jaan ko yun shadaab karde...
Gulaab e madina uga de khudaya!!!


Hare rang ki roshni de ilahi...
Sunehri wo jali dikhade khudaya!!!


ALLAH FARMATA HAI - " AY BANDE EK TERI CHAHAT HAI AUR EK MERI CHAHAT HAI.

AGAR TU WO KARE JO MERI CHAHT HAI TO MAIN TUJHE WO DUNGA JO TERI CHAHAT HAI.

AGR TUNE WO NA KIYA JO MERI CHAHAT HAI TO MAIN THAKA DUNGA TUJHE USMEIN JO TERI CHAHAT HAI...

AUR HOGA WOHI JO TERI CHAHAT HAI!!!

Tere khauf se mera phatta ho seena...
Yehi lehar mujh mein utha de khudaya!!!

Mera dil hai pheekha meri jaan hai pheeki...
Tu rang e mahabbat chada de khudaya!!!

Kai gham ke tufaan sitam dha rahe hain...
Nipatne ka tu hoala de khudaya!!!

Abu bakr o farooq o usman o haider...
Inhi chaar ki tu wila de khudaya!!!

Ujagar naye rang mein likhe midhat...
Sukhan ka qareena  aikha de khudaya!!!

Jab kaha meine jugnu se

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على سيد الأنبياء والمرسلين أما بعد فاعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن الرحيم

ALLAHU ALLAHU ALLAHU ALLAHU...
ALLAHU ALLAHU ALLAHU ALLAHU!!!

Pucha gul se e maine ke ay khubru...
Tujh mein aayi kahan se nazakat ki khu...
Yaad mein kiski hansta mehakta hai tu...
Hans k bola k ay taalibe rang o bu!!!

ALLAHU ALLAHU ALLAHU ALLAHU...
ALLAHU ALLAHU ALLAHU ALLAHU!!!


Arz ki maine sunbul se ay mushk bu...
Subh ko kar ke shabnam se taza wuzu...
Jhoom kar kon sa zikr karta hai tu...
Sunke karne laga dam ba dam zikr e hu!!!

ALLAHU ALLAHU ALLAHU ALLAHU...
ALLAHU ALLAHU ALLAHU ALLAHU!!!


Jab kaha maine bulbul se ay khush glu...
Tu chaman mein chehakta hai tu char su...
Dekh kar gul kise yaad karta hai tu...
Wajd mein bol utha wa.hdahu wa.hdahu!!!

ALLAHU ALLAHU ALLAHU ALLAHU...
ALLAHU ALLAHU ALLAHU ALLAHU!!!


Aake jugnu jo chamke mere ru ba ru...
Arz ki maine ay sahib e shola ru...
Kiski tal-at hai tu kiska jalwa hai tu...
Ye kaha jiska jalwa hai ye char su!!!

ALLAHU ALLAHU ALLAHU ALLAHU...
ALLAHU ALLAHU ALLAHU ALLAHU!!!


Maine pucha ye parwane se du ba du...
Kis lye shama ki lo pe jalta hai tu...
Shola e naar mein kiski hai justju...
Jalte jalte kaha usne ya noor hu!!!

ALLAHU ALLAHU ALLAHU ALLAHU...
ALLAHU ALLAHU ALLAHU ALLAHU!!!


Aazmi garche behad gunahgaar hai...
Mujrim o be amal khatakaar hai...
Haq taala magar aisa ghaffar hai...
Uski rehmat ka naara hai la taqnatu!!!

ALLAHU ALLAHU ALLAHU ALLAHU...
ALLAHU ALLAHU ALLAHU ALLAHU!!!

Thursday 1 August 2013

Chokhat pe khade shah o gada

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على سيد الأنبياء والمرسلين أما بعد فاعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن الرحيم


Chokhat pe khade shah o gada maang rahe hain...
Sarkaar se jeene ki ada maang rahe hain!!!


Muzda hai tere waaste ay ummat aasi...
Mehboob e dua ro ke dua maang rahe hain!!!


Kya gumbad e khazra ka nazar aa gya jalwa...
Sarkaar ke deewane qaza maang rahe hain!!!


Wo chaand hai aagosh e haleema mein ke jisse...
Ye chand sitaare bhi ziya maang rahe hain!!!


Lillah karam ki nazar ay khaak e madina...
Hum log hain bimaar shifa maang rahe hain!!!


Padne ka bhi andaaz ata karte hain sarkaar...
Haidar se jahan waale ye kya maang rahe hain!!!

Ye naaz ye andaaz hamare nahi hote

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على سيد الأنبياء والمرسلين أما بعد فاعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن الرحيم


Ye naaz ye andaaz hamare nahi hote...
Jholi mein agar tukre tumhare nahi hote!!!

Jab tak k madine se ishare nahi hote...
Roshan kabhi qismat k sitare nahi hote!!!

Daamaan e shafaat mein humein kon chupata...
Sarkar agar aap hamare nahi hote!!!

Milti na agr bheek huzoor aapke dar se...
Is shaan se mangtoo k guzare nahi hote!!!

Ye nisbat e sarkar ka ejaaz hai warna...
Tufaan se namudaar kinare nahi hote!!!

Khalid ye tasadduq hai faqat naat ka warna...
Mahshar mein tere waare niyare nahi hote!!!